koi to maksad hoga ,
koi to makaam hoga
mere is sadharan se jeevan ka
koi to antar hoga
paraye khushiyon mein hi nahin
apna bhi koi makaan hoga,
jisme khushiyon ko milega kaksh
aur dukhon ko rusva hona hoga
khwaab tha abhi tak,
ab hakikat mein parivartit karna hoga
keval parvardigaar ke sahare hi nahin
taqdir ko apne bas mein karna hoga
kabhi dhoop, kabhi parchaayi
kabhi unchi umange, kabhi gehri khayi
is khel ka koi to vijayta hoga
marne ki pehle, kya amar hona hoga?
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment