Thursday, October 05, 2006

Udaas Mann - Courtsey Friend

aankhon mein akelapan chhaya hai,
unmein aansoan ka saaya hai,
apna hi aks nahin dikh raha mujhe,
kho gaya woh bhi mere tanhad mein,
kitne he the meri rahon mein,
aaj bhi hain, lekin sab meri aahon mein,
kuchh nahin keh sakti kisi se,
aaj kho diya pyaar sabhi se,
is din ki dhoop ki tarah akeli hoon,
jalti hoon kisi aag mein,
jana padhta har raah pe,
par bin apni chah ke,
us suraj ki aag jalati hai,
raakh hui apna hi ghar tapati hai,
suraj se bhi nahin milta pyaar,
na us aangan se, jahan kiya barson basar,
ye nahin thi meri chahat,
nahin milti is jalan se rahat,
phir bhi wo angan mujhe mera lagta hai,
mujhse mera thoda dukh le leta hai,
suraj se bhi mooh hua hai,
par naam wahi badnaam hua hai,
kisi 'badal' ya 'lehar' ki zaroorat hai ,
varna jeevan ek sulagati haqeeqat hai

Thursday, September 14, 2006

koi to maksad hoga ,
koi to makaam hoga
mere is sadharan se jeevan ka
koi to antar hoga

paraye khushiyon mein hi nahin
apna bhi koi makaan hoga,
jisme khushiyon ko milega kaksh
aur dukhon ko rusva hona hoga

khwaab tha abhi tak,
ab hakikat mein parivartit karna hoga
keval parvardigaar ke sahare hi nahin
taqdir ko apne bas mein karna hoga

kabhi dhoop, kabhi parchaayi
kabhi unchi umange, kabhi gehri khayi
is khel ka koi to vijayta hoga
marne ki pehle, kya amar hona hoga?

Wednesday, September 13, 2006

Khud-b-khud - Punita Singh

kabhi to mushkil hoti hai,
tamanna-e-dil samajhne mein,
aur chahat hoti hai,
kabhi samne khud-b-khud !

kabhi taalaab mein
ufan bhi nahin hota
kabhi uthne lagta hai
tufaan talayion mein khud-b-khud !

meri nigahon ke asar mein
farishte to tum ban gaye
par farishton ke safar bhi
dhalne lagte hain khud-b-khud !

Aashiyana banaya meine
badi majbooti aur pyar se
dolti duniya ke zami pe magar
ukhad jaate hain jadh khud-b-khud !

ittafaq se mile kahin
ittefaq se pyar hua
bhaagti duniya ke saath hi
bichadh bhi gaye khud-b-khud !

ek insaan, chehre kayi
har chehre mein vahi insaan
meine aayine mein jhaankar dekha hai
chehre badal gaye khud-b-khud !

tum chaahe mujhse milo ya
yun hi kahin duur raho
ye chaahat ki nadiyaan hai
behne lagi khud-b-khud !


rishton ko saraha bhi tha
phoolon se sambhala bhi tha
vakt ke thapadein khaakar magar
phool jhad jaate hain khud-b-khud